Made in India
ye un dino ki baat hai jab hum ishq ki galiyaon me ghooma karte the,
per ab naa ishq hai aur naa hi ishq ki galiyaan
ab to matlab hai aur matlab ki duniya
ishq naa kariyo, ishq naa kariyao
Added by arhan on December 18, 2013 at 12:37pm — No Comments
saamne Manzil thi,
Peechhe thi aawaz uski,
rukte to safar chhut jaata,
chalte to usse bichhar jaate,
manzil ki bhi hasrat thi,
aur usse muhobaat bhi,
ae- dil ye bataa maujhko,
us waqt mai kahan jaata,
muddat ka safar bhi tha,
aur barso ki chaahat bhi thi,
rukte to bikhar jaate,
chalte to dil toot jaate,
yun samajh lo ke.........
lagi pyaas gazab ki thi,
aur paani me bhi zaher tha,
peete…
ContinueAdded by arhan on December 12, 2013 at 11:30am — No Comments
Jub Seena Ghum Se Bojhal Ho
Aur Yaad Kisi Ki Aati Ho
Tub Kamre Me Bund Ho Jana
Aur Chupke Chupke Ro Lena
Jub Aankhen Baaghi Ho Jaayen
Aur Yaad Main Meri Bhar Aayen
Phir Khud Ko Dhoka Mat Dena
Aur Chupke Chupke Ro Lena
Jub Pulken Kerb Se Moondi Hon
Aur Sub Sumjhen Tum Sote Ho
Tub Muh Pe Takya Rakh Lena
Aur Chupke Chupke Ro Lena
Yeh Duniya Zalim Duniya Hai
Yeh Baat Bohoot failayegi
Tum Saamne Sub Ke Chup Rehna
Aur Chupke Chupke…
Added by arhan on November 28, 2013 at 7:01pm — No Comments
Waqt Ki Raftar Pe Jhunjala Kar Ro Pade
Kabhi Use Kho Kar, To Kabhi Use Paa Kar Ro Pade
Khushiyan Humarey Naseeb Main Kab Raas Aayi Hain
Baahar Kabhi Hansen, To Ghar Aa Kar Ro Pade
Added by arhan on November 28, 2013 at 6:51pm — No Comments
Mom ki tarah Pighalte Huwe Dekha us ko..
Rut Jo Badli to Badalte Huwe Dekha Us ko..
Jane Kis Ghum Ko Chhupane Ki Tamana Hai Use
Aaj Har bat Pe Haste Hue Dekha Us Ko,
Najaane Wo Duaon Me Maangta Hai Kise
Haath Uthate Hi Sisakte Hue Dekha Us Ko
Added by arhan on November 26, 2013 at 2:45pm — No Comments
Wo hi huwa na bichadne pe baat aa pahonchi..
Use kaha tha Puraane hisaab rehne de..
Meri Hatheli Pe likh de har ek nakaami..
Mere Khuda tu use kamyaab rehne de......
Added by arhan on November 26, 2013 at 2:30pm — No Comments
ae hawa tere siwa mai kuchh nahi,
ae fiza tere siwa mai kuchh nahi,
aaja bahar banke ya fir karde fanaa mujhe...
mai aisa tadpa, aisa roya teri berookhi ke baad....
Added by arhan on November 21, 2013 at 2:39pm — No Comments
Posted by Hemshila maheshwari on March 10, 2024 at 5:19pm 0 Comments 0 Likes
Posted by Hemshila maheshwari on March 10, 2024 at 5:18pm 0 Comments 0 Likes
Posted by Hemshila maheshwari on September 12, 2023 at 10:31am 0 Comments 1 Like
Posted by Pooja Yadav shawak on July 31, 2021 at 10:01am 0 Comments 1 Like
Posted by Jasmine Singh on July 15, 2021 at 6:25pm 0 Comments 1 Like
Posted by Pooja Yadav shawak on July 6, 2021 at 12:15pm 1 Comment 2 Likes
Posted by Pooja Yadav shawak on June 25, 2021 at 10:04pm 0 Comments 3 Likes
Posted by Pooja Yadav shawak on March 24, 2021 at 1:54pm 1 Comment 1 Like
वो जो हँसते हुए दिखते है न लोग
अक्सर वो कुछ तन्हा से होते है
पराये अहसासों को लफ़्ज देतें है
खुद के दर्द पर खामोश रहते है
जो पोछतें दूसरे के आँसू अक्सर
खुद अँधेरे में तकिये को भिगोते है
वो जो हँसते हुए दिखते है लोग
अक्सर वो कुछ तन्हा से होते है
© 2024 Created by Facestorys.com Admin. Powered by
Badges | Report an Issue | Privacy Policy | Terms of Service